Nuclear Battery, Jo Hazaron Saal Chalay Gi

harrykennedy
Registered Member
Registered Member
Posts: 17
Joined: 21 Nov 2022, 3:28 pm
Location: Karachi
Been thanked: 1 time
Contact:

Nuclear Battery, Jo Hazaron Saal Chalay Gi

#1



Post by harrykennedy »

Nuclear Power, Sun’nay Mein To Khatarnaak Cheez Lagti Hay Laikin Haqeeqat Ye Hay Ke Ye Most Environment-Friendly Aur Clean Energy Hay. Kyunke Is Say Koi Carbon Dioxide Nahi Nikalti. Laikin… Aik Masla Hay, Wo Ye Ke Is Say Buhat Dangerous Radioactive Waste ‏Milta Hay.

Ye Nuclear Waste Dunya Bhar Kay Nuclear Reactors Mein Jama Hota Rehta Hay. Experts Koshish Kar Rahay Hain Ke Koi Aisa Solution Nikal Jaey Ke Is Nuclear Waste Kay Masla Khatam Ho Jaey. Aur Is Ka Aik Hal Nikala Gaya Hay Radioactive Diamond Batteries Ki Shakal Mein.

Ye Idea Sab Say Pehlay 2016 Mein Practical Soorat Mein Samnay Aaya Tha. Aur Ab Isay Nuclear Waste Ko Recycle Karnay Ka Aik Munasib Hal Samjha Ja Raha Hay. Laikin Ye Sawal Ab Bhi Mojoud Hay Ke Kya Ye Is Khatarnak Aur Toxic Material Ka Last Solution Hay?

Nuclear Battery
(Photo: Getty Images)
Radioactive Diamond Batteries Hain Kya?
Radioactive Diamond Batteries Sab Say Pehlay University Of Bristol Kay Scientists Nay Tayar Ki Theen. Inhain Betavoltaic Device Kay Taur Par Pesh Kia Gaya Tha, Yani Ye Nuclear Waste Kay Beta Decay Say Chalti Hain.

Nuclear Battery
(Photo: University Of Bristol)
Beta Decay Kya Hota Hay?
Beta Decay Aik Radioactive Decay Hay, Jo Us Waqt Hota Hay Jab Atom Kay Nucleus Mein Particles Zyada Hon. Yahan Protons Aur Neutrons Ka Zyada Stable Ratio Hasil Karnay Kay Liay Un Mein Say Kuchh Release Ho Jatay Hain. Is Say Aik Qisam Ki Ionizing Radiation Paida Hoti Hay Jisay Beta Radiation Kehtay Hain.

Is Amal Mein Buhat Say High-Speed Aur High-Energy Electrons Aur Positrons Shamil Hotay Hain, Jinhain Beta Particles Kehtay Hain. In Particles Mein Nuclear Energy Hoti Hay Jo Kisi Semiconductor Kay Zariay Electric Energy Mein Badli Ja Sakti Hay.

Ye Batteries Kaisay Banti Hain?
Radioactive Diamond Batteries Chemical Vapor Disposition Kay Process Say Banti Hain, Jo Artificial Diamond Manufacturing Mein Buhat Istamal Hota Hay.

Is Amal Mein Hydrogen Aur Methane Plasma Ka Mixture Istamal Hota Hay Jis Say Buhat High Temperature Par Diamond Films Banti Hain. Diamond Aik Radioactive Source Aur Semiconductor Donon Ka Kaam Karta Hay. Bus Isay Beta Radiation Kay Samnay Rakhain Aur Aik Long Duration Nuclear Battery Hazir Hay. Aisi Battery Jisay Recharge Karnay Ki Bhi Zarurat Nahi.

Phir Masla Kya Hay?
Masla Ye Hay Ke Ye Batteries Laptops, Smartphones Aur Aaj Ki Sab Say Zyada Use Honay Wali Devices Kay Liay Munasib Nahi. Kyunke Is Mein Sirf Aik Gram Carbon-14 Hota Hay, Yani Ye Buhat Low Powered Hain, Aur Sirf Aur Sirf Kuchh Microwatts Hi Day Sakti Hain. Yani Typical AA Battery Say Bhi Kam.

Yahi Waja Hay Ke In Radioactive Diamond Batteries Ka Istamal Sirf Aisi Choti Devices Mein Ho Sakta Hay, Jin Mein Nuclear Battery Laga Kar Bus Banda Bhool Jaey. Jaisa Ke Sensors Aur Pacemakers Mein.

American Solution
Yahan Aik American Company Nano Diamond Battery (NDB) Inc. Ka Naam Aata Hay, Jo 2012 Say Is Cleaner Aur Greener Alternative Par Kaam Kar Rahi Hay. Us Nay 2016 Main Apni Diamond Batteries Banai Theen Aur 2020 Mein Bhi Kuch Concepts Pesh Kiay Thay. Jo Beta, Alpha Aur Neutron Voltaic Batteries Bana Saktay Hain. Aur Apni Radioactive Diamond Batteries Ko Commercialize Karnay Ki Koshish Kar Raha Hay.

Nuclear Battery
Space Missions Kay Liay
NDB Ki In Batteries Ki Life 28,000 Saal Hogi. Ye Space Mission Mein Buhat Kaam Aa Sakti Hain. Jahan Space Stations, Space Vehicles Aur Satellites Mein In Ka Istamal Ho Sakta Hay. Zameen Par Dekhain To Inhain Drones, Electric Cars Aur Jahazon Mein Laganay Ka Mansooba Hay. Aur Aik Bar Lag Gaeen Aur Kaam Aa Gaeen, To Ho Jaey Gi Lambi Chutti.

Ye Batteries Aaen Gi Kab?
Next Year Yani 2023 Mein Aisi Batteries Market Mein Aa Jaen Gi. NDB Aur British Company Arkenlight In Par Kaam Kar Rahi Hain. Laikin Arkenlight Ka Concept Zara Mushkil Hay. Us Mein Khatra Hay Ke Agar Radiation Gaseous Form Mein Leak Ho Jaey To Bara Problem Ho Jaey Ga.

Nuclear Battery
Arkenlight’s Ki Gammavoltaic Battery Ka Concept (Photo: University Of Bristol)
Laikin Ye Baat To Tay Hay Ki Lithium-Ion Batteries Ko Fil-Haal Koi Khatra Nahi. In Ki Life Zarur Kam Hay Laikin Inhain Banan Aasan Hay, Aur Sasta Bhi Parta Hay. To Chahay Nuclear Batteries Ki Batein Kitni Hi Achi Lagti Hon, Laikin Filhaal In Par Buhat Kaam Baqi Hay. Tab Tak Hamain Inhi Batteries Par Guzara Karna Paray Ke Jinhain Baar Baar Charge Karna Parta Hay.



https://raftar.com/raftar-360/tech/nucl ... chalay-gi/
https://raftar.com/raftar-360/
https://raftar.com/raftar-360/tech/
https://raftar.com/
MEHTAB LE
Senior Registered Member
Senior Registered Member
Posts: 753
Joined: 20 Mar 2016, 3:03 pm
Location: DADU, Pakistan
Has thanked: 38 times
Been thanked: 169 times
Contact:

Re: Nuclear Battery, Jo Hazaron Saal Chalay Gi

#2



Post by MEHTAB LE »

Radiation ka kia hoga. Nuclear hai to zaror Explosive material hoga. Jaisy urinium ya koi aur substance. Woh kaisy manage karengy ?
STARSAT EXTREME HEVC
SONY Bravia LED 43* TV
SATELITE$ : 108 | 95 | 93 | 88 | 83 | 52 | 51 + 38 | 13E
Post Reply Previous topicNext topic

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 45 guests