Saudi Arabia Ke Blue Diamond Ki Chori

harrykennedy
Registered Member
Registered Member
Posts: 17
Joined: 21 Nov 2022, 3:28 pm
Location: Karachi
Been thanked: 1 time
Contact:

Saudi Arabia Ke Blue Diamond Ki Chori

#1



Post by harrykennedy »

Saudi Arabia Ke Crown Prince Muhammad Bin Salman Ne Pichlay Haftay Thailand Ka Daura Kiya. Is Se Saudi Arabia Aur Thailand Ke Darmiyan 30 Saal Se Jari Sifarati Kasheedgi Ka Khatma Ho Gaya. Aik Aisa Diplomatic Dispute Jis Ki Chingari Aik Nayab Blue Diamond Samait Qeemti Jewelry Ki Chori Se Bharakna Shuru Hui. Bangkok Main 3 Saudi Siafartkaron Aur Businessman Ke Qatal Ne Is Jalti Per Mazeed Tel Chirrka. Aur Is Aag Ne Dono Mulkon Ke Siafarti Taaluqat Bhasam Kar Diye.

Kahani Ka Aaghaz Hua 1989 Main Aik Maali (Gardner) Kriangkrai Techamong Se. Thailand Se Taaluq Rakhnay Wala Kriangkrai Techamong Shah Fahad Ke Sab Se Baray Baitay Faisal Bin Fahad Ke Mehal Main Mulazim Tha. Wo Garden Ki Dekh Bhaal Karta Tha Lekin Us Se Ghar Ke Andar Ki Safai Ka Kaam Bhi Liya Jata Tha. Is Liye Us Ki Ghar Ke Chappay Chappay Tak Rasai Thi.

Saudi Shezaday Ke Shahi Mehal Main Dunya Jahan Ki Qeemti Cheezen Aur Jewelry Thi. Us Collection Main Anday Ke Barabr Yaqoot Bhi Thay. Gurbat Main Aankh Kholnay Wala Kriangkrai Techamong In Cheezon Ko Hasrat Se Dekha Karta Tha. Magar Jis Qeemti Cheez Ne Us Ke Dil Sab Se Zyada Churaya Wo 50 Carat Ka Aik Blue Diamond Tha. Jo Dunya Bhar Main Apni Qisam Ke Aala Tareen Heeron Main Shamil Tha. Usay Pata Tha Ke Chori Pakri Gayi Tou Us Ka Haath Kaat Diya Jaye Ga Magar Wo Aik Bara Haath Maar Kar Is Mulk Se Nikal Jana Chahta Tha.

Blue Diamond Kese Chori Kiya Hua?
Jab Royal Family 3 Mahinay Ke Liye Mulk Se Bahar Gayi Tou Thai Maali Ko Maala Maal Honay Ka Sunheri Mauqa Nazar Aaya.

Kriangkrai Techamong Ko Pata Tha Ke Jewelry Aur Jawahirat Dusri Manzil Ke Bedroom Ke 4 Safe Main Rakhay Jatay Hain Aur Wo Aksar lock Bhi Nahi Hotay. Aik Shaam Wo Kisi Bahanay Se Mehal Ke Andar Ruka Raha. Sab Mulazim Chalay Gaye Tou Wo Shehzaday Ke Bedroom Main Gaya. Tawaqqo Ke Mutabiq Safe Khulay Huye Thay. Us Ne Qeemti Zevrat Nikalay Aur Duct Tape Ki Madad Se Apnay Jism Per Chipka Liye. Baqi Jewelry Aur Jawahirat Us Ne Mehal Ke Andar Mukhtalif Aisay Hisson Main Chupa Diye Jahan Us Ko Pata Tha Ke Koi Nahi Dekhay Ga. Aglay Chand Din Main Us Ne 60 Kilo Ke Qareeb Jewelry Aur Zevrat Apnay Kamray Main Muntaqil Kar Diye.

Thai Maali Ko Us Waqt Pata Nahi Tha Ke Us Ne Jo Maal Churaya Hay Us Ki Maliyat 20 Million Dollar Se Zyada Hay.

Kriangkrai Ne 60 Kilogram Gems Aur Jewelry Ko Vacuum Cleaner Bag Main Band Kar Kay DHL Ke Zariye Thailand Bhijwa Diya. Chand Din Baad Kriangkrai Khud Bhi Thailand Ke Lampang Subay Pohnch Gaya.

Saudi Arabia Ke Blue Diamond Ki Chori
Kriangkrai Techamong Ki 2019 Main Li Gayi Tasveer. Courtesy BBC
Saudi Shai Family Jab Mehal Wapas Aai Tou Unhen Chori Ka Pata Chala. Investigation Shuru Hui Aur Foran Pata Chal Gaya Ke Ye Kis Ka Kaam Hay. Saudi Hukkam Ne Thailand Hukkam Ko Aagah Kiya Aur Unhon ne Wahan Tehqiqat Shuru Kar Deen.

Blue Diamond Aur Jewelry Kis Ko Bechi Gayi?
Dusri Taraf Kriangkrai Techamong Ko Pata Tha Ke Wo Ye Jawahir Aur Zewrat Kisi Dukan Per Aisay Hi Nahi Bech Sakta. Us Ke Huliye Aur Surat Se Ghurbat Jhalakti Thi. Agr Wo Hulya Badal Bhi Leta Tou Us Ke Paas Un Jawhirat Ki Milkiyat Ka Koi Saboot Nahi Tha. Is Liye Us Ne Sara Maal Aisi Jewelry Kharidnay Walay Dealer Santhi Sithanakan Ko Bohat Kam Qeemat Main Farokht Kar Di. Thai Police Ne Jald Hi Kriangkrai Techamong Aur Santhi Sithanakan Ko Giraftar Kar Kay Chori Ka Maal Baramad Kar Liya.

Stolen jewelry was sent back to Saudi Arabia.
Us Ke Baad Thai Hukkam Ka Aik Delegation Bazyab Ki Gayi Jewelry Le Kar Khushi Khushi Saudi Arabia Pohncha. Magar Saudi Shahi Khandan Us Waqt Mazeed Naraz Ho Gaya Jab Unhen Pata Chala Ke Wapas Kiye Janay Walay Maal Main Blue Diomond Shamil Nahi. Aur Jo Gems Wapas Kiye Gaye Hain, Un Main Se Bhi Aadhay Naqli Hain.

Udhar Thailand Main Ye Khabren Samnay Aana Shuru Huyeen Ke Mukhtalif Taqreebat Main Thai Hukkam Ki Biwiyan Waisi Hi Qeemti Jewelry Pehnay Nazar Aanay Lagi Hain Jesi Saudi Shahi Khandan Ki Thi. In Khabron Se Saudi Hukkam Ko Shak Honay Laga Ke Thai Police Aur Thai Hukkam Ne Asli Jewelry Ko Chhupa Kar Naqli Unhen Bheji Hay.

3 Saudi Diplomat Aur Businessman Ka Qatal
Saudi Arab Ne Apnay 3 Diplomat Aur Aik Businessman Mohammad al-Ruwaili Ko Tehqeeqat Ke Liye Thailand Bheja. 01 February 1990 Ko Teeno Diplomat Bangkok Mian Qatal Kar Diye Gaye. Kuch Din Baad Mohammad al-Ruwaili Bhi Lapata Ho Gaye. Jin Ka Kabhi Kuch Pata Nahi Chal Saka. Khayal Yehi Zahir Kiya Jata Hay Ke Unhen Bhi Qatal Kar Diya Gaya Tha.

Blue Diamond, Saudi Diplomats Murder In Thailand, Mohammad Bin Salman
Agarche Zyada Tar Isharay Yehi Thay Ke Saudi Sifaratkaron Kay Qatal Ke Taanay Baany Jewelry Se Miltay Hain. Taham 2010 Main Bangkok Se Bhejay Gaye US Cable Main Daawa Kiya Gaya Tha Ke Ye Qatal Hezbollah Ne Kiye Thay.

Saudi Arab Ne Ye Tou Tasleem Kiya Ke Qatal Main Hezbollah Ka Haath Ho Sakta Hay Taham Us Ka Zyada Shak Thai Police Per Barqarar Raha. Thailand Ki Tafteesh Per Adam Aitimd Ki Wajah Se Saudi Arabia Ne Apnay Mulk Se Thai Shehrion Ko Nikalna Shuru Kar Diya. 1989 Main Saudi Arabia Main 200,000 Thai Worker Thay Jin Ki Tadad 1992 Main Kam Ho Kar 10,000 Reh Gayi. Saudi Arabia Ne Thailand Se Tijarat Bhi Band Kar Di. Thailand Se Apnay Safeeron Ko Wapas Bula Liya Aur Apnay 4 Shehrion Ke Qatal Ki Tehqiqat Ke Liye Chargé d’affaires Mohammed Said Khoja Ko Thailand Bheja. Is Dauran Asal Chor Kriangkrai Techamong Ko Sirf 2.5 Saal Ki Saza Ke Baad Jail Se Riha Kar Diya Gaya Tha.

Mohammed Said Khoja Ne 1994 Main Aik Interview Main Kaha Ke Wo Har Waqt Jo chrome-plated .38-Caliber Smith and Wesson Gun Liye Ghumtay Hain. Wo Hezbollah Ya Kisi Aalmi Dehshat Gard Tanzeem Se Bachnay Ke Liye Nahi Bulkay Thai Police Se Bachnay Ke Liye Hay Jo Thai Hukumat Se Bhi Zyada Taqatwar Hay.

Blue Diamond, Saudi Diplomats Murder In Thailand, Mohammad Bin Salman



FULL LINK => https://raftar.com/world/saudi-arabia-k ... -ki-chori/

Who is online

Users browsing this forum: No User AvatarAhrefs [Bot], User avatarApple, User avatarawan71, User avatarGoogle Adsense, User avatarpiplan1966 and 27 guests