Aik Aur Missile Test

harrykennedy
Registered Member
Registered Member
Posts: 17
Joined: 21 Nov 2022, 3:28 pm
Location: Karachi
Been thanked: 1 time
Contact:

Aik Aur Missile Test

#1



Post by harrykennedy »

Long Range Missile Ki Race Main North Korea Waqfay Waqfay Say Hissa Leta Rehta Hay. Kabhi Tou Us Ka Missile Test Nakam Hojata Hay Tou Kabhi Unconfirmed Reports Kay Mutabiq North Korea Missile Race Main Sabqat Laijata Hay.

North Korea Nay Intercontinental Ballistic Missile Ka Aik Aur Test Kiya Hay. Is Missile Ka Naam Hwasong-17 Hay. Is ko Pyongyang International Airfield Say Launch Kiya Gaya. Missile Nay Fiza Main 999.2 kilometers (621 miles) Ka Fasla Tai Kiya.Japan Ka Kehna Hay Kay North Korea Ka Missile Oshima Kay Island Say 210 kilometers (130 miles) West Main Land Kiya Hay.

North Korea Missiles
Experts Ka Kehna Hay Kay Yeh Missile Test Zahir Kerta Hay Kay Pehlay Kay Missiles Say Hwasong-17 Altitude Aur Distance Main Kam Hay. 24 March Ko North Korea Nay Jo Missile Test Kia Tha Us Ka Altitude 6,248.5 kilometers (3,905 miles) Tha Aur Us Nay 1,090 kilometers (681 miles) Ka Distance Tai Kiya Tha. Yeh North Korea Ka Highest Altitude Aur Longest Duration Wala Altitude Tha. 2017 Main North Korea Nay Jo Missile Test Kia Tha, Us Kay Hawala Say American Defense Secretary James Mattis Nay Kaha Tha Kay Yeh Dunya Main Kisi Bhi Jagha Ko Nishana Bana Sakta Hay.

North Korea Kay Missile Ki Theoretical Range Kay Bawajoud, Is Ki Tazdeq Nahi Hosaki Hay Kay Kia In Missiles Per Nuclear Warhead Laijaei Jasaktay Hain. In Missiles Ki Target Ko Hit Kernay Ki Ability Bhi Abhi Tak Prove Nahi Hosaki Hay.


North Korea Ki Dhamkiyan
North Korea Ki Taraf Say Kai Baar Missile Tests Kay Bad Aggressive Statements Aei Hain. October Main North Korea Kay Leader Kim Jong Un Nay Kaha Tha Kai Hamari Nuclear Combat Forces Nay Actual War Ki Tayari Zahir Kerdi Hay. Is Jang Main Hum Apnay Dushmano Ko Control Kerlain Gay.

Kin Jong Un Ki Family
Dilcshasp Baat Yeh Hay Kai, Hwasong-17 Missile Test Ki Jo Photos Media Per Ai Hain, Un Main Kim Jong Un Apni Baiti Kai Sath Nazar Arahay Hain. Yeh Pehla Moqa Hay Kay Kim Ki Koi Aulad Samnay Aei Ho.


King Jong Un Ki Family Say Mutaliq Bauhat Kam Information Samnay Aei Hain. 2013 Main Former Basket Ball Player Dennis Rodman Nay British News Paper Ko Interview Main Bataya Tha Kai Unhonay Kim Ki Family Kai Sath Time Spend Kia Tha. Unhonay Bataya Kay Kim Ki Baiti Ka Naam Ju Ae Hay. Unhonay Kim Ko Acha Baap Qarar Diya Tha. Us Moqay Per Un Ki Kim Ki Wife Ri SoI Ju Say Bhi Mulaqat Hoi Thei.


North Korea Main 1948 Say Hereditary Dictatorship Hai. Kim Il Sung North Korea Kay Pehlay Leader Thay.Unkay Baad, Kim Jong Il Nay Mulk Ka Charge Sambhala Tha. Un Ki Death Kay Bad, Kim Jong Un Mulk Kay Sarbarh Ban Gaey.


RAFTAR TOP NEWS
https://raftar.com/world/aik-aur-missile-test/
https://raftar.com/world/
https://raftar.com/

Who is online

Users browsing this forum: No User AvatarBaidu, User avatarGoogle and 31 guests