Zindagi se eik yehi gila hai mujhe,
Tu bohat dair se mila hai mujhe,
Tu mohabbat se koi chaal to chal,
Haar jaane ka hausla hai mujhe,
Humsafar chahiye hajoom nahin,
Aik musaafir bhi qafila hai mujhe,
Lab kusha hoon to iss yakeen ke sath,
Qatal hone ka hosla hai mujhe,
Kon jaane ke chahton mein Faraz,
Kya ganwaya kya mila hai mujhe..
Meri chaahat ka takaaza na nibhaane waale,
Kitne be-dard hain yeh log zamane waale,
Koi apna nahin, matlab ki hai yeh duniya sari,
Ab kahan milte hain woh log puraane waale,
Main dua’go hoon sadaa neendain mubarik tujjhko,
Hijjar ka dard hume de ke jagaane waale,
Bas yeh soch ke har baar manaata hoon tujhe,
Laut ke aate nahin rooth ke jaane waale,
Hamare seeney mein jhaank ke dekho to zara,
Kitne afsurda hain auron ko hasaane waale..
Dard jab teri ataa hai to gila kis se karen,
Hijar jab tu ne diya hai to mila kis se karen,
Akss jab toot ke bikhra hai tera aayine ke sath,
Ho gayi zakhm nazar akss chunaa kis se karen,
Main safar main hoon mere sath judai teri,
Humsafar gham hain to phir tujh ko juda kis se karen,
Khil uthen gull ya khulain dast-e-hanaayi tere,
Har tarf tu hai to phir tera pataa kis se karen,
Tere lab, teri nigaahen, tere aaraz, teri zulf,
Itne zinda hain to is dil ko rihaa kis se karen..
Choti si aik naao* banane ki dair hai,
Daryaa ke paar bas mere jaane ki dair hai,
Aik pal main jaag jaye ga soya hua mehal,
Phir se qadeem geet sunane ki dair hai,
Shehzaadi chal parre gi mere sath khud’bakhud,
Uss se to sirf aankh milane ki dair hai,
Qaleen baadlon main urre ga humain liye huye,
Qadmon main aik baar bichaane ki dair hai,
Sar pe hamare ho ga parindon ka saaybaa’n,
Aik dhoop ki kiran faqat aaney ki dair hai,
Aaney lage gi titliyaan khilne lage ge phool,
Sehraa main ja ke haima* lagane ki dair hai,
Jugnu ki tarah chaand urre ga ird gird,
Sooraj ke khawb’gaah main jaane ki dair hai,
Utrain gi pariyan haath main taarey liye huye,
Nazren falak ki samt uthaane ki dair hai,
Hathon se apni rait pe likhti phire gi naam,
Hum kon hain, hawaa ko yeh bataane ki dair hai..
Kabhi yaad aye to poochna zara apni khalwat*-e-sham se,
Kise ishq tha teri zaat, kise pyar tha tere naam se,
Zara yaad kar ke woh kon tha kabhi tujhe bhi aziz tha,
Woh jo mar mitta tere naam pe, woh jee utha tere naam se,
Humein be’rukhi ka nahin gila, ke yehi wafaaon ka hai silla,
Magar aesa jurm tha konsa, ke gaye hum duaa-o-sallaam se,
Na kabhi visaal ki chaah ki, na kabhi firaaq main aah ki,
Ke mera tareeka-e-bandagi hai judaa tareeka-e-aam se..
Hum hi thehre sazaa-vaar aur khata’aa kuch bhi nahin,
Tu kya samajhta hai tere baad hua kuch bhi nahin,
Yaad jab aayi teri yaad raha kuch bhi nahin,
Dil ne bass aaah bhari aur kaha kuch bhi nahin,
Waqt ki tarah yeh saansain bhi rawaa’n hain ab tak,
Ik bass ashhk tha main aur rukaa kuch bhi nahin,
Hath se hath churra kar gaye jab se tum,
Mene us waqt se in hathon se chhua kuch bhi nahin,
Kash tu mujhe keh de achaanak aa kar,
Ke tere mere jeevan main bacha kuch bhi nahin..
Chunne gaye jab se meri palkon se khwab saare,
Pareshaan hain dil-o-nazar ke mahtaab saare,
Kis qadar an’khille aur be’rang they,
Dekho yeh sard mausmon ke gulaab saare,
Tum to thehre sehel raaston ke musaafir,
Woh raaste bhi to azaab saare,
Fareb-e-nazar to kabhi noor-e-nazar,
Bakhshe hain tu ne hi to khitaab saare,
Tumhen yaad hain chaahton ke puraane sabaq,
Hamari baari badal gaye nisaab saare,
Doori mein haayel yeh pardaa acha tha,
Jo barrha qurb ho gaye hatam hijaab saare,
Zindagi ki uljhan se uljhe hain jab se,
Bikhar gaye hain tamanaaon ke khawb saare,
Jab se mila woh hum se Rubaab,
Aankhon se utar aaye saraab saare..
Kitni aziyat se us ne mujh ko bhulaya hoga,
Meri yaadon ne usey khoob rulaya hoga,
Baat be-baat aankh us ki chhalki ho gi,
Us ne chehre ko baazuon mein chupaya hoga,
Socha ho ga us ne din mein keyi baar mujhe,
Naam hatheli per bhi likh likh kar mittaya ho ga,
Jahan us ne kahin mera zikr suna ho ga kisi se,
Us ki aankhon mein koi aansu to aaya hoga,
Raat ke bheegne tak neend naa aayi ho gi usey,
Us ne takkiye ko bhi seene se lagaya hoga,
Ho gi niddhal meri yaadon se tu ne jaana,
Meri tasveer pe sar apna ttikaaya hoga,
Poocha ho ga jo kisi ne teri haalat ka sabab,
Tu ne baaton mein khoob us se chupaya ho ga..
Jab se ik chaand ki chahat mein sitara hua hoon,
Sheher-e-shab zaad ki ankhon ka sahara hua hoon,
Aye mere dard ke daryaa ki rawaani, mujhe dekh,
Mein tere qurb se katt katt ke kinara hua hoon,
Zindagi, tujh sa munaafiq bhi koi kya ho ga,
Tera shahkaar hoon aur tera hi maara hua hoon,
Saamne phir mere apne hain, sau main janta hoon,
Jeet bhi jaaon ga to yeh jang mein haara hua hoon,
Zakham gintaa hon shab-e-hijr mein aur sochta hon,
Main to apnna bhi naa tha, kese tumhara hua hoon,
Main payambar hoon na ho sakta hoon, phir bhi Ahmad,
Aesa lagta hai ke sar-e-khaak se utaara hua hoon..
Nateeja phir wohi hoga suna hai chaal badle ga,
Parinde bhi wohi hon ge, shikari jaal badle ga,
Badalne hain to dil badlo badalte ho to hindsey* hi,
Mahiney phir wohi hon ge bechaara saal badle ga,
Agar hum maan lein Aabi mahina saath* salon ka,
Batao kitne saalon mein hamara haal badle ga..